Showing posts with label Hindi Poems (Roman Script). Show all posts
Showing posts with label Hindi Poems (Roman Script). Show all posts

Sindoori Dhoop

Mere hissay ki dhoop ko
Maang mein tum apni rakh lo
Kuchh rang sindoori ho jaaye
Phir lautaa dena mujh ko
Main odh loonga tab iss ko
Apni raaton ke saaye par!

Yaadon Ki Mitti

Kyun zubaan thithak jaati hai meri ru-ba-ru unke mujhe kya maalum
Kitna kuchh kehne ko hai mere dil mein unhein kya maalum!

Maa Ki Laadli

Main jhankaar hoon jeevan ki
Main phuhaar hoon saavan ki
Main chidiya nandan van ki
Koyal hoon main upvan ki!

Khaamosh Muntazir

Khaamosh rehta hoon;
Magar bekhabar nahin main
Muntazir hoon tera
Par besabar nahin main…

Chhalakte Jaam

Shikwa nahin mujhko, na ab koi shikaayat hai;
Kyonki ab kisi se koi aas nahin rakhtaa main!

Meri Pehchaan

Taye kiye thay jin par
Umr kay marhaley kayi
Gard unheen raahon ki
Jum gayi hai maazi kay
Peelay padey dareechon par...

Raat Ke Aanchal Se

Jo raat ke aanchal say nikal ke
Dabey paanv utraa tha
Mere mann ke aangan mein
Aur thehar gaya tha do pal ko
Meri adhmundi palkon pay...

Ek Pal

Woh ek akela pal
Jo sang hamaarey chal rahaa
Bas wahi pal apna hai
Uskay siva kuchh bhi nahin!