Toota Dil

Jab maanjhi khud hi patvaar jalaa de
Kaun dishaa pahunchay phir kashti saahil ko!

Jaan ke jo sab kuchh khud se anjaan baney
Kaun jagaaye neend say phir us gaafil ko!

Waqt ka toofan jise viraanaa kar de
Kaun sajaaye phir us sooni mehfil ko!

Qaatil hi jab aap munsif ho jaaye
Kaun sazaa de phir chhupay us qaatil ko!

Apnon ki jo sitamgari say toota ho
Kaun sanvaarey phir us tootay-footay dil ko!

*Kashti = Boat
*Saahil = River bank
*Gaafil = Negligent, Uninformed
*Toofan (तूफ़ाँ) = Storm
*Munsif = Judge
*Sitamgari = Oppression, Tyranny

© Gagan Deep

No comments:

Post a Comment