Kyun zubaan thithak jaati hai meri ru-ba-ru unke mujhe kya maalum
Kitna kuchh kehne ko hai mere dil mein unhein kya maalum!
Muskuraata dekh unko deep jal uthtay hain meri shab-e-taar mein
Kaun hain aur kya hain woh meri nazar mein unhein kya maalum!
Muddat hui ban ke ghataa barsay thay woh mere mann ke soonay aangan mein
Aur bhigo gaye thay rooh ko meri tar-ba-tar unhein kya maalum!
Reh gayi bas yaadon ki geeli mitti jiski bheeni si khushboo
Mehakti hai aaj bhi mere khwaabon ke chaman mein unhein kyaa maalum!
*Ru-ba-ru = Face to face
*Shab-e-taar = Dark Night
*Tar-ba-tar = Drenched
*Chaman = Garden
© Gagan Deep

No comments:
Post a Comment