Chhalakte Jaam

Shikwa nahin mujhko, na ab koi shikaayat hai;
Kyonki ab kisi se koi aas nahin rakhtaa main!

Apne khair khwaahon se, main aaj bhi miltaa hoon dil se;
Lekin ab kisi ko dil ke paas nahin rakhtaa main!

Kis pe karoon yakeen yahaan, kaun chalaa sung umr bhar;
Khud ke saaye par bhi ab vishwaas nahin rakhtaa main!

Sooni raahon pe aqsar, mainey kiya safar tanhaa;
Par sooneypan ka dil mein ahsaas nahin rakhtaa main!

Chhoo kar labon se, jaam chhalakte chhod aayaa hoon;
Zindagi mein ab koi bhi pyaas nahin rakhtaa main!

*Khair khwaah = Well-wisher
*Tanhaa = Alone
*Lab = Lips

© Gagan Deep

No comments:

Post a Comment