Naqsh kisi ke pyaar ke
Bikhray huay hain jaan-ba-jaan
Meri zindgai ke pannon par!
Nazar toh aatey nahin par
Ek ehsaas ki tarah
Woh rehte hain dil mein har pal!
Kabhi maazi ke dareechon se
Ban ke tasveer ubharte hain
Meri yaadon ke darpan mein!
Aur phoolon ki khushbu jaise
Mahaktay hain woh kabhi
Mere khwaabon ki anjuman mein!
Andhiyaari raaton mein kabhi
Taaron ki jhaalar ban ke
Woh jhilmilaatay hain gagan mein!
Aur kabhi ban ke shabnam ki
Boond chamaktay hain woh
Meri ulfat ke chaman mein!
Chaand ke us paar se
Milnay aate hain roz mujhe
Woh chaand ki pehli kiran mein!
© Gagan Deep
Bikhray huay hain jaan-ba-jaan
Meri zindgai ke pannon par!
Nazar toh aatey nahin par
Ek ehsaas ki tarah
Woh rehte hain dil mein har pal!
Kabhi maazi ke dareechon se
Ban ke tasveer ubharte hain
Meri yaadon ke darpan mein!
Aur phoolon ki khushbu jaise
Mahaktay hain woh kabhi
Mere khwaabon ki anjuman mein!
Andhiyaari raaton mein kabhi
Taaron ki jhaalar ban ke
Woh jhilmilaatay hain gagan mein!
Aur kabhi ban ke shabnam ki
Boond chamaktay hain woh
Meri ulfat ke chaman mein!
Chaand ke us paar se
Milnay aate hain roz mujhe
Woh chaand ki pehli kiran mein!
© Gagan Deep
No comments:
Post a Comment