Ek Pal

Woh ek akela pal
Jo sang hamaarey chal rahaa
Bas wahi pal apna hai
Uskay siva kuchh bhi nahin!

Woh ek pal beeta hua
Jo guzar chuka kabhi ka
Toh saath apnay lay gaya
Jo usko lay kar jaana tha!

Aaney vaala woh ek pal
Jisay abhi dekha nahin
Jaaney kya lay kar aayega
Aur saath kya lay jaayega!

Phir kyon gham karein hum
Guzar chukay beetay pal ka
Aur kya fiqr karein hum
Andekhay aatey pal ka!

Ek-ek pal kar ke yoon hi
Waqt guzartaa jaayega
Mutthi kitni bheench lein hum
Haath mein kuchh na aayega!

Aakhir mein bas ek hi pal
Paas hamaarey reh jaayega
Aur shaayad afsos bhi
Ke zindagi jee hi nahin!

Kyon na phir jee lein jee bhar
Nanhe say iss ek pal ko
Kya pataa ke aglaa pal
Jeevan mein aaye na aaye!

Khwaahishon ki bheed se
Nikal ke dekho zaraa
Waqt kay dariya say chhalaktay
Har ek pal mein jeevan hai
Har pal mein bhari hai zindagi!

© Gagan Deep

No comments:

Post a Comment